Shayari
zulm bhi sharmaa rahaa hai adl ki mizaan se
kuud jaanaa chaahiye minaar-e-paakistaan se
aa ki mazbut karein pyaar ki buniyaadon ko
ghar shikasta ho to barsaat mein baT jaataa hai
آ کہ مضبوط کریں پیار کی بنیادوں کو
گھر شکستہ ہو تو برسات میں بٹ جاتا ہے
आ कि मज़बूत करें प्यार की बुनियादों को
घर शिकस्ता हो तो बरसात में बट जाता है

zulm bhi sharmaa rahaa hai adl ki mizaan se
kuud jaanaa chaahiye minaar-e-paakistaan se
aisaa kahaan ye zaaiqa gandum ke paas hai
roTi mein maan ke haath ki shaamil miThaas hai
miri vafaa mein kami hai to mujh se baat kare
use kaho ki vo aae muzaakaraat kare
raae kyaa qaaem kareinge ajnabi us shahr mein
rasta batlaae jahaan par ek andhaa aadmi
pahle soyaa kartaa thaa 'mahmud' lambi taan kar
phir shuur aataa gayaa aur ratjage baDhte gae
miri tarah se shajar bhi hain baaghiyaana mizaaj
jahaan se kaaTe gae the vahin se ug aae
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
vo to kahiye aap ki ulfat mein dil bahlaa rahaa
varna duniyaa chaar din bhi rahne ke qaabil na thi