Shayari
milaad-e-shah kaa din hai ki ye roz-e-id hai
ik baada-khvaar kaa saa sabaa mein khumaar hai
M
Mahmooda Akhtar Mahmoodabulbul chahak ke kahti hai muddat ke baa'd phir
gulshan mein aaj aamad-e-fasl-e-bahaar hai
بلبل چہک کے کہتی ہے مدت کے بعد پھر
گلشن میں آج آمد فصل بہار ہے
बुलबुल चहक के कहती है मुद्दत के बा'द फिर
गुलशन में आज आमद-ए-फ़स्ल-ए-बहार है
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kaanTe se bhi nichoD li ghairon ne bu-e-gul
yaaron ne bu-e-gul se bhi kaanTaa banaa diyaa
'azfari' ghuncha-e-dil band aur aai hai bahaar
sair-e-gul ko ki ye shaayad ba-takalluf khil le
apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri
yaan aashiyaan banaayaa vaan aashiyaan banaayaa