Shayari
mausam bahaar kaa hai chaman par bahaar hai
bulbul fidaa-e-gul hai gulon par nikhaar hai
M
Mahmooda Akhtar Mahmoodamilaad-e-shah kaa din hai ki ye roz-e-id hai
ik baada-khvaar kaa saa sabaa mein khumaar hai
میلاد شہ کا دن ہے کہ یہ روز عید ہے
اک بادہ خوار کا سا صبا میں خمار ہے
मीलाद-ए-शह का दिन है कि ये रोज़-ए-ईद है
इक बादा-ख़्वार का सा सबा में ख़ुमार है
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe