Shayari
mast hain nashsha-e-javaani se
kyaa khabar aap ko kisi dil ki
M
Mahshar LakhnavibaDhtaa jaataa hai tul-e-gesu-e-yaar
ghaTti jaati hai zindagi dil ki
بڑھتا جاتا ہے طول گیسوئے یار
گھٹتی جاتی ہے زندگی دل کی
बढ़ता जाता है तूल-ए-गेसू-ए-यार
घटती जाती है ज़िंदगी दिल की
mast hain nashsha-e-javaani se
kyaa khabar aap ko kisi dil ki
balaaein le rahaa huun is zamin ke zarre zarre ki
luTaa thaa jis jagah raah-e-vafaa mein kaarvaan meraa
shikva-e-hijr-e-yaar kaun kare
husn ko sharmsaar kaun kare
de ke saaghar mujhe kis lutf se saaqi ne kahaa
dekhte jaao abhi ham tumhein kyaa dete hain
saadgi ki intihaa kar di javaanaan chaman
umr bhar rang mizaaj baaghbaan dekhaa kiye
vufur-e-shauq mein ik ik qadam meraa qayaamat thaa
khudaa maalum kyun-kar jalva-zaar-e-husn tak pahunchaa
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
zindagi ke bahut qarib na jaa
faasla kuchh to apne dhyaan mein rakh
baDe qalaq ki baat hai ki tum ise na paDh sake
hamaari zindagi to ik khuli hui kitaab thi
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai