Shayari
jin ki hasrat mein dil-e-rusvaa ne gham khaae bahut
sang ham par in darichon ne hi barsaae bahut
M
Mahtab Zafarzabaan zabaan pe shor thaa ki raat khatm ho gai
yahaan sahar ki aas mein hayaat khatm ho gai
زباں زباں پہ شور تھا کہ رات ختم ہو گئی
یہاں سحر کی آس میں حیات ختم ہو گئی
ज़बाँ ज़बाँ पे शोर था कि रात ख़त्म हो गई
यहाँ सहर की आस में हयात ख़त्म हो गई
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
miri rafiq-e-nafas maut teri umr daraaz
ki zindagi ki tamannaa hai dil mein afzun phir
'shaair' ajiib rang se guzri hai apni umr
duniyaa mein naam bhi na sunaa khair-khvaah kaa