Shayari
vo apne ‘abd-e-haqiqi ko aazmaataa hai
har ik bashar kaa yahaan imtihaan nahin hotaa
ye sadaa aa rahi hai qabron se
'ishq qaatil hai ham gharibon kaa
یہ صدا آ رہی ہے قبروں سے
عشق قاتل ہے ہم غریبوں کا
ये सदा आ रही है क़ब्रों से
'इश्क़ क़ातिल है हम ग़रीबों का

vo apne ‘abd-e-haqiqi ko aazmaataa hai
har ik bashar kaa yahaan imtihaan nahin hotaa
vaqt ke paanv bhi nahin mehvar
aur raftaar bhi ghazab ki hai
ghaur se dekhnaa hanste hue chehre ki taraf
ek manzar pas-e-manzar kai manzar degaa
aaj gar bole nahin haq baat par
kal sitam honge tumhaari zaat par
ulfat to dekhiye miri didaar ke sabab
darvesh ban ke yaar ki chaukhaT pe aa gayaa
ek muddat se niind taari hai
ek muddat se so nahin paae
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
hamaari maazarat ai gham ki muskuraa rahe hain
ham apnaa haath tiri pusht se haTaa rahe hain
itni na intishaar ki hiddat ho ru-ba-ru
insaan gham-e-hayaat mein jaltaa dikhaai de
jhuTi mahfil hai jhuTi tanhaai
ik tire 'ishq kaa bharam sachchaa