Shayari
ye nahin dekhte kitni hai riyaazat kis ki
log aasaan samajh lete hain aasaani ko
hamaari maazarat ai gham ki muskuraa rahe hain
ham apnaa haath tiri pusht se haTaa rahe hain
ہماری معذرت اے غم کہ مسکرا رہے ہیں
ہم اپنا ہاتھ تری پشت سے ہٹا رہے ہیں
हमारी मा'ज़रत ऐ ग़म कि मुस्कुरा रहे हैं
हम अपना हाथ तिरी पुश्त से हटा रहे हैं

ye nahin dekhte kitni hai riyaazat kis ki
log aasaan samajh lete hain aasaani ko
bahut se saanp the is ghaar ke dahaane par
dil is liye bhi khazaana shumaar hone lagaa
badal ke dekh chuki hai reaayaa saahib-e-takht
jo sar qalam nahin kartaa zabaan khinchtaa hai
bhanvar se ye jo mujhe baadbaan khinchtaa hai
zarur koi havaaon ke kaan khinchtaa hai
dalil us ke dariche ki pesh ki main ne
kisi ko patli gali se nahin nikalne diyaa
aisi ghurbat ko khudaa ghaarat kare
phuul bhejvaane ki gunjaaish na ho
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
hijr mein milne shab-e-maah ke gham aae hain
chaarasaazon ko bhi bulvaao ki kuchh raat kaTe
ab kaargah-e-dahr mein lagtaa hai bahut dil
ai dost kahin ye bhi tiraa gham to nahin hai
gham o nashaat ki har rahguzar mein tanhaa huun
mujhe khabar hai main apne safar mein tanhaa huun