Shayari
yaqin ho to koi raasta nikaltaa hai
havaa ki oT bhi le kar charaagh jaltaa hai
chalo lahu bhi charaaghon ki nazr kar deinge
ye shart hai ki vo phir raushni ziyaada karein
چلو لہو بھی چراغوں کی نذر کر دیں گے
یہ شرط ہے کہ وہ پھر روشنی زیادہ کریں
चलो लहू भी चराग़ों की नज़्र कर देंगे
ये शर्त है कि वो फिर रौशनी ज़ियादा करें

yaqin ho to koi raasta nikaltaa hai
havaa ki oT bhi le kar charaagh jaltaa hai
tiis chaalis din to kaaT diye
aur kitne hain is mahine mein
qubul kaise karun un kaa faisla ki ye log
mire khilaaf hi meraa bayaan maangte hain
sunaa hai sachchi ho niyat to raah khulti hai
chalo safar na karein kam se kam iraada karein
kabhi kabhi to kisi ajnabi ke milne par
bahut puraanaa koi silsila nikaltaa hai
hadaf bhi mujh ko banaanaa hai aur mere harif
mujhi se tiir mujhi se kamaan maangte hain
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
main jaataa huun dil ko tire paas chhoDe
miri yaad tujh ko dilaataa rahegaa
kis taraf aae kidhar bhuul paDe khair to hai
aaj kyaa thaa jo tumhein yaad hamaari aai
ai yaad-e-yaar dekh ki baa-vasf-e-ranj-e-hijr
masrur hain tiri khalish-e-naa-tavaan se ham
aap ki yaad mein rouun bhi na main raaton ko
huun to majbur magar itnaa bhi majbur nahin