Shayari
zakhm-e-talaash mein hai nihaan marham-e-dalil
tu apnaa dil na haar mohabbat bahaal rakh
ai khalish bol kyaa yahi hai khudaa
ye jo dil mein khalaa saa rahtaa hai
اے خلش بول کیا یہی ہے خدا
یہ جو دل میں خلا سا رہتا ہے
ऐ ख़लिश बोल क्या यही है ख़ुदा
ये जो दिल में ख़ला सा रहता है

zakhm-e-talaash mein hai nihaan marham-e-dalil
tu apnaa dil na haar mohabbat bahaal rakh
mumkin nahin hai shaayad donon kaa saath rahnaa
teri khabar jab aai apni khabar gai hai
charaagh-haa-e-takalluf bujhaa diye gae hain
uThaao jaam ki parde uThaa diye gae hain
khud se guzre to qayaamat se guzar jaaeinge ham
yaani har haal ki haalat se guzar jaaeinge ham
pesh-e-zamin rahun ki pas-e-aasmaan rahun
rahtaa huun apne saath main chaahe jahaan rahun
kuchh is tarah se kahaa mujh se baiThne ke liye
ki jaise bazm se us ne uThaa diyaa hai mujhe
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
nahin aisaa bhi ki yaksar nahin rahne vaalaa
dil mein ye shor baraabar nahin rahne vaalaa
kuchh mere dhaDakte hue dil ne bhi pukaaraa
kuchh aap ko baazaar mein dhokaa bhi huaa hai
hasraton kaa ho gayaa hai is qadar dil mein hujum
saans rasta DhunDhti hai aane jaane ke liye
dil us kaa jigar us kaa hai jaan us ki ham us ke
kis baat se inkaar kiyaa jaae kisi ko