Shayari
har kitaab-e-sohbat-e-rangin ke maani dekh kar
fard-e-tanhaai ke mazmun kuun kiyaa huun intikhaab
M
Mirza Daood Begdekhnaa hai piyaa ki zulf-e-daraaz
yaa ilaahi mujhe de umr-e-daraaz
دیکھنا ہے پیا کی زلف دراز
یا الٰہی مجھے دے عمر دراز
देखना है पिया की ज़ुल्फ़-ए-दराज़
या इलाही मुझे दे उम्र-ए-दराज़
har kitaab-e-sohbat-e-rangin ke maani dekh kar
fard-e-tanhaai ke mazmun kuun kiyaa huun intikhaab
yak qadam raah-e-dost hai 'daaud'
lekin afsos paa-e-bakht hai lang
'vali' saani nahin daaud lekin
ghazal kahtaa hai har ik baa-talaazum
piv binaa dil miraa udaasi hai
gaah jogi hai gaah sanyaasi hai
sun nasihat miri ai zaahid-e-khushk
ashk ke aab bin vuzu mat kar
sar kaaT kyuun jalaate hain raushan dilaan ke taiin
aahan-dili pe khalq ki khandaan huun misl-e-shama
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
muddaton baad ham kisi se mile
yuun lagaa jaise zindagi se mile
ab aa gae ho to Thahro kharaaba-e-dil mein
ye vo jagah hai jahaan zindagi sanvarti hai
zindagi mein pahle itni to pareshaani na thi
tang-daamaani thi lekin chaak-daamaani na thi