Shayari
dekhnaa hai piyaa ki zulf-e-daraaz
yaa ilaahi mujhe de umr-e-daraaz
M
Mirza Daood Begpiv binaa dil miraa udaasi hai
gaah jogi hai gaah sanyaasi hai
پیو بنا دل مرا اداسی ہے
گاہ جوگی ہے گاہ سنیاسی ہے
पिव बिना दिल मिरा उदासी है
गाह जोगी है गाह सन्यासी है
dekhnaa hai piyaa ki zulf-e-daraaz
yaa ilaahi mujhe de umr-e-daraaz
har kitaab-e-sohbat-e-rangin ke maani dekh kar
fard-e-tanhaai ke mazmun kuun kiyaa huun intikhaab
yak qadam raah-e-dost hai 'daaud'
lekin afsos paa-e-bakht hai lang
'vali' saani nahin daaud lekin
ghazal kahtaa hai har ik baa-talaazum
sun nasihat miri ai zaahid-e-khushk
ashk ke aab bin vuzu mat kar
sar kaaT kyuun jalaate hain raushan dilaan ke taiin
aahan-dili pe khalq ki khandaan huun misl-e-shama
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kuchh dard ki shiddat hai kuchh paas-e-mohabbat hai
ham aah to karte hain fariyaad nahin karte
is tarah rahbar ne luuTaa kaarvaan
ai 'fanaa' rahzan ko bhi sadma huaa
qaid-e-gham-e-hayaat bhi kyaa chiiz hai 'fanaa'
raah-e-faraar mil na saki umr-bhar phire