Shayari
phir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
hue mar ke ham jo rusvaa hue kyuun na gharq-e-dariyaa
na kabhi janaaza uThtaa na kahin mazaar hotaa
ہوئے مر کے ہم جو رسوا ہوئے کیوں نہ غرق دریا
نہ کبھی جنازہ اٹھتا نہ کہیں مزار ہوتا
hue mar ke ham jo rusvā hue kyuuñ na ġharq-e-dariyā
na kabhī janāza uThtā na kahīñ mazār hotā

Mirza Asadullah Baig Khan, known by his pen name Ghalib, was a renowned Urdu and Persian poet during the last years of the Mughal Empire.
Mirza Asadullah Baig Khan, known by his pen name Ghalib, was a renowned Urdu and Persian poet during the last years of the Mughal Empire.
1797–1869
View all quotes by Mirza Ghalibphir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
umr bhar dekhaa kiye marne ki raah
mar gae par dekhiye dikhlaaein kyaa
saadgi o purkaari be-khudi o hushyaari
husn ko taghaaful mein jurat-aazmaa paayaa
girni thi ham pe barq-e-tajalli na tuur par
dete hain baada zarf-e-qadah-khvaar dekh kar
naakaami-e-nigaah hai barq-e-nazaaraa-soz
tu vo nahin ki tujh ko tamaashaa kare koi
marte hain aarzu mein marne ki
maut aati hai par nahin aati
mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
tu ne ye kyaa ghazab kiyaa mujh ko bhi faash kar diyaa
main hi to ek raaz thaa sina-e-kaaenaat mein
kohkan kyaa pahaaD toDegaa
ishq ne zor-aazmaai ki
dariyaaon ki nazr hue
dhire dhire sab tairaak
dariyaa-e-mohabbat se 'muhib' le hi ke chhoDi
mujh ashk ne aakhir dur-e-naayaab ki miraas
kaun kahtaa hai ki maut aai to mar jaaungaa
main to dariyaa huun samundar mein utar jaaungaa