Shayari
agar chaman kaa koi dar khulaa bhi mere liye
sumum ban gai baad-e-sabaa bhi mere liye
koi akelaa to main saadgi-pasand na thaa
pasand us ne bhi rangon mein rang saada kiyaa
کوئی اکیلا تو میں سادگی پسند نہ تھا
پسند اس نے بھی رنگوں میں رنگ سادہ کیا
कोई अकेला तो मैं सादगी-पसंद न था
पसंद उस ने भी रंगों में रंग सादा किया

agar chaman kaa koi dar khulaa bhi mere liye
sumum ban gai baad-e-sabaa bhi mere liye
koi kashti mein tanhaa jaa rahaa hai
kisi ke saath dariyaa jaa rahaa hai
duur rahnaa thaa jab us ko 'mohsin'
mere nazdik vo aayaa kyuun thaa
jaise do mulkon ko ik sarhad alag karti hui
vaqt ne khat aisaa khinchaa mere us ke darmiyaan
tiir o kamaan aap bhi 'mohsin' sambhaaliye
jab dosti ki aaD mein khanjar dikhaai de
libaas badle nahin ham ne mausamon ki tarah
ki zeb-e-tan jo kiyaa ek hi labaada kiyaa
dekh kar meraa dasht-e-tanhaai
rang-e-ru-e-bahaar utraa hai
ghalat hai aap na the ham-kalaam khalvat mein
adu se aap ki tasvir bolti hogi
jab khudaa bhi nahin thaa saath mare
mujh pe biiti hai aisi tanhaai
jo tiir aayaa gale mil ke dil se lauT gayaa
vo apne fan mein main apne hunar mein tanhaa thaa
ye tanhaa raat ye gahri fazaaein
use DhunDein ki us ko bhuul jaaein
raasta sunsaan thaa to muD ke dekhaa kyuun nahin
mujh ko tanhaa dekh kar us ne pukaaraa kyuun nahin