Shayari
khoyaa hai kuchh zarur jo us ki talaash mein
har chiiz ko idhar se udhar kar rahe hain ham
ye tanhaa raat ye gahri fazaaein
use DhunDein ki us ko bhuul jaaein
یہ تنہا رات یہ گہری فضائیں
اسے ڈھونڈیں کہ اس کو بھول جائیں
ये तन्हा रात ये गहरी फ़ज़ाएँ
उसे ढूँडें कि उस को भूल जाएँ

khoyaa hai kuchh zarur jo us ki talaash mein
har chiiz ko idhar se udhar kar rahe hain ham
dukh ke safar pe dil ko ravaana to kar diyaa
ab saari umr haath hilaate raheinge ham
koi tasvir mukammal nahin hone paati
dhuup dete hain to saayaa nahin rahne dete
mohabbat mar gai 'mushtaaq' lekin tum na maanoge
main ye afvaah bhi tum ko sunaa kar dekh letaa huun
tire aane kaa din hai tere raste mein bichhaane ko
chamakti dhuup mein saae ikaTThe kar rahaa huun main
paani mein aks aur kisi aasmaan kaa hai
ye naav kaun si hai ye dariyaa kahaan kaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
nikalte hain baraabar ashk meri donon aankhon se
mataa-e-dard tulne ki taraazu ho to aisi ho
jaane ko jaae fasl-e-gul aane ko aae har baras
ham gham-zadon ke vaaste jaise chaman vaise qafas
dariyaa ki zindagi par sadqe hazaar jaanein
mujh ko nahin gavaaraa saahil ki maut marnaa