Shayari
dil lagaate hi to kah deti hain aankhein sab kuchh
aise kaamon ke bhi aaghaaz kahin chhupte hain
jo nigaah-e-naaz kaa bismil nahin
dil nahin vo dil nahin vo dil nahin
جو نگاہ ناز کا بسمل نہیں
دل نہیں وہ دل نہیں وہ دل نہیں
जो निगाह-ए-नाज़ का बिस्मिल नहीं
दिल नहीं वो दिल नहीं वो दिल नहीं

dil lagaate hi to kah deti hain aankhein sab kuchh
aise kaamon ke bhi aaghaaz kahin chhupte hain
kuchh is andaaz se sayyaad ne aazaad kiyaa
jo chale chhuT ke qafas se vo giraftaar chale
tiri adaa ki qasam hai tiri adaa ke sivaa
pasand aur kisi ki hamein adaa na hui
tum ko samjhaae 'mubaarak' koi kyunkar afsos
tum to rone lage yaar aur bhi samjhaane se
miri khaak bhi uDegi baa-adab tiri gali mein
tire aastaan se unchaa na miraa ghubaar hogaa
rahne de apni bandagi zaahid
be-mohabbat khudaa nahin miltaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
na puchho tum ko aur dushman ko dil mein kyaa samajhtaa huun
use ullu tumhein ullu kaa main paTThaa samajhtaa huun
sune is dil ki koi baat aa kar
koi to de mohabbat ke ujaale
zamin nai thi anaasir ki khu badalti thi
havaa se pahle jazire pe dhuup chalti thi
sukun-e-dil ke liye ishq to bahaana thaa
vagarna thak ke kahin to Thahar hi jaanaa thaa