Shayari
sitaare gum hue khurshid niklaa
araq jab yaar ne ponchhaa jabin se
M
Munawar Khan Ghafiljite-ji qadr bashar ki nahin hoti saahab
yaad aaegi tumhein meri vafaa mere baad
جیتے جی قدر بشر کی نہیں ہوتی صاحب
یاد آئے گی تمہیں میری وفا میرے بعد
जीते-जी क़द्र बशर की नहीं होती साहब
याद आएगी तुम्हें मेरी वफ़ा मेरे बा'द
sitaare gum hue khurshid niklaa
araq jab yaar ne ponchhaa jabin se
apne majnun ki zaraa dekh to be-parvaai
pairahan chaak hai aur fikr silaane ki nahin
kucha-e-jaanaan mein yaaro kaun suntaa hai miri
mujh se vaan phirte hain laakhon daad aur be-daad mein
kaun dariyaa-e-mohabbat se utar saktaa hai paar
kashti-e-farhaad aakhir koh se Takraa gai
baad marne ke miri qabr pe aayaa 'ghaafil'
yaad aai mire iisaa ko davaa mere baad
vasl mein bhi nahin majaal-e-sukhan
is rasaai pe naa-rasaa hain ham
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
kisi ki yaad manaane mein iid guzregi
so shahr-e-dil mein bahut duur tak udaasi hai
aadhi se ziyaada shab-e-gham kaaT chukaa huun
ab bhi agar aa jaao to ye raat baDi hai
tu jafaaon se jo badnaam kiye jaataa hai
yaad aaegi tujhe meri vafaa mere baad
ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaabein
ik shakhs ki yaadon ko bhulaane ke liye hain