Shayari
sitaare gum hue khurshid niklaa
araq jab yaar ne ponchhaa jabin se
M
Munawar Khan Ghafilapne majnun ki zaraa dekh to be-parvaai
pairahan chaak hai aur fikr silaane ki nahin
اپنے مجنوں کی ذرا دیکھ تو بے پروائی
پیرہن چاک ہے اور فکر سلانے کی نہیں
अपने मजनूँ की ज़रा देख तो बे-परवाई
पैरहन चाक है और फ़िक्र सिलाने की नहीं
sitaare gum hue khurshid niklaa
araq jab yaar ne ponchhaa jabin se
kucha-e-jaanaan mein yaaro kaun suntaa hai miri
mujh se vaan phirte hain laakhon daad aur be-daad mein
kaun dariyaa-e-mohabbat se utar saktaa hai paar
kashti-e-farhaad aakhir koh se Takraa gai
baad marne ke miri qabr pe aayaa 'ghaafil'
yaad aai mire iisaa ko davaa mere baad
jite-ji qadr bashar ki nahin hoti saahab
yaad aaegi tumhein meri vafaa mere baad
vasl mein bhi nahin majaal-e-sukhan
is rasaai pe naa-rasaa hain ham
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
hain dalilein tire khilaaf magar
sochtaa huun tiri himaayat mein
hamein ye fikr hai laahaq ki aise aalam mein
navaab-zaada na huqqe ko bartaraf kar dein
raahbar rahzan na ban jaae kahin is soch mein
chup khaDaa huun bhuul kar raste mein manzil kaa pataa
tamiz-e-dair-o-kaaba hai na fikr-e-din-o-duniyaa hai
ye rind-e-paak-tinat bhi tire allaah vaale hain