Shayari
sitaare gum hue khurshid niklaa
araq jab yaar ne ponchhaa jabin se
M
Munawar Khan Ghafilkaun dariyaa-e-mohabbat se utar saktaa hai paar
kashti-e-farhaad aakhir koh se Takraa gai
کون دریائے محبت سے اتر سکتا ہے پار
کشتیٔ فرہاد آخر کوہ سے ٹکرا گئی
कौन दरिया-ए-मोहब्बत से उतर सकता है पार
कश्ती-ए-फ़रहाद आख़िर कोह से टकरा गई
sitaare gum hue khurshid niklaa
araq jab yaar ne ponchhaa jabin se
apne majnun ki zaraa dekh to be-parvaai
pairahan chaak hai aur fikr silaane ki nahin
kucha-e-jaanaan mein yaaro kaun suntaa hai miri
mujh se vaan phirte hain laakhon daad aur be-daad mein
baad marne ke miri qabr pe aayaa 'ghaafil'
yaad aai mire iisaa ko davaa mere baad
jite-ji qadr bashar ki nahin hoti saahab
yaad aaegi tumhein meri vafaa mere baad
vasl mein bhi nahin majaal-e-sukhan
is rasaai pe naa-rasaa hain ham
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
raat din aap charaaghon ko jalaate kyon hain
ghar charaaghon se nahin pyaar se raushan hogaa
ishq itnaa bhi kyaa zaruri hai
koi be-ishq mar nahin jaataa
kaun si baat nai ai dil-e-naakaam hui
shaam se subh hui subh se phir shaam hui
tumhein hamaari mohabbaton ke hasin jazbe bulaa rahe hain
jo ham ne likkhe the tum pe hamdam vo saare naghme bulaa rahe hain