Shayari
rishton kaa bojh Dhonaa dil dil mein kuDhte rahnaa
ham ek dusre par ehsaan ho gae hain
kisi ko qissa-e-paaki-e-chashm yaad nahin
ye aanhkein kaun si barsaat mein nahaai thiin
کسی کو قصۂ پاکیٔ چشم یاد نہیں
یہ آنکھیں کون سی برسات میں نہائی تھیں
किसी को क़िस्सा-ए-पाकी-ए-चश्म याद नहीं
ये आँखें कौन सी बरसात में नहाई थीं

rishton kaa bojh Dhonaa dil dil mein kuDhte rahnaa
ham ek dusre par ehsaan ho gae hain
hamaare biich mein ik aur shakhs honaa thaa
jo laD paDe to koi bhi nahin manaane kaa
isi umiid pe jalti hain dasht dasht aanhkein
kabhi to aaegaa umr-e-kharaab kaaT ke vo
jaate mausam ki tarah us se kabhi mil na sakaa
ek lamhe ke ta'alluq ki sazaa huun main to
koi mahkaar hai khushbu ki na rangon ki lakir
ek sahraa huun kahin se bhi guzar jaa mujh mein
khatm hone de mire saath hi apnaa bhi vajud
tu bhi ik naqsh kharaabe kaa hai mar jaa mujh mein
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
vo to kahiye aaj bhi zanjir mein jhankaar hai
varna kis ko yaad rah jaati hai divaanon ki baat
is judaai mein tum andar se bikhar jaaoge
kisi maazur ko dekhoge to yaad aaungaa
mujhe khabar thi ki ab lauT kar na aaungaa
so tujh ko yaad kiyaa dil pe vaar karte hue
aao puraani yaad ke shoalon mein taap lein
kitne hain haath sard mulaaqaat ki tarah
dil kaa kamra raushni se bhar gayaa
jab jalaa dipak tumhaari yaad kaa