Shayari
ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
jo milaa us ne bevafaai ki
kuchh ajab rang hai zamaane kaa
جو ملا اس نے بے وفائی کی
کچھ عجب رنگ ہے زمانے کا
जो मिला उस ने बेवफ़ाई की
कुछ अजब रंग है ज़माने का

ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
jitnaa ki ye duniyaa mein hamein khvaar rakhe hai
itne to gunahgaar zamaane ke nahin ham
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri
yaan aashiyaan banaayaa vaan aashiyaan banaayaa
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
har dil-fareb chiiz nazar kaa ghubaar hai
aankhein hasin hon to khizaan bhi bahaar hai
jaan kar us but kaa ghar kaaba ko sajda kar liyaa
ai barahman mujh ko baitullaah ne dhokaa diyaa
fareb-e-maah-o-anjum se nikal jaaein to achchhaa hai
zaraa suraj ne karvaT li ye taare Duub jaaeinge
fughaan ki mujh gharib ko hayaat kaa ye hukm hai
samajh har ek raaz ko magar fareb khaae jaa
khud-farebi rahe to achchhaa hai
khud-shanaasi tabaah kar degi
kyaa kijiye kashish hai kuchh aisi gunaah mein
main varna yuun fareb mein aataa bahaar ke