Shayari
phir mujhe khud bhi khabar ho na saki main huun kahaan
aakhiri baar tire gaanv mein dekhaa gayaa huun
dil mubtalaa-e-hijr rifaaqat mein rah gayaa
lagtaa hai koi farq mohabbat mein rah gayaa
دل مبتلائے ہجر رفاقت میں رہ گیا
لگتا ہے کوئی فرق محبت میں رہ گیا
दिल मुब्तला-ए-हिज्र रिफ़ाक़त में रह गया
लगता है कोई फ़र्क़ मोहब्बत में रह गया

phir mujhe khud bhi khabar ho na saki main huun kahaan
aakhiri baar tire gaanv mein dekhaa gayaa huun
ham ghulaami ko muqaddar ki tarah jaante hain
ham tiri jiit tiri maat se nikle hue hain
kuchh phulon ki khaatir bhi kuchh phulon kaa
sab se achchhaa rang churaanaa paDtaa hai
charaagh dafn kiye the 'nadim' qabron mein
zamin se chaand numudaar ho gae saahib
ye tiri guftugu kaa lamha hai
is ghaDi hai miraa khudaa mire paas
ungliyaan pher mere baalon mein
ye miraa dard-e-sar nahin jaataa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mohabbat mein nahin hai farq jiine aur marne kaa
usi ko dekh kar jiite hain jis kaafir pe dam nikle
ye dil kaa dard to umron kaa rog hai pyaare
so jaae bhi to pahr do pahr ko jaataa hai
'shuur' aap kaa pyaar aap ko mubaarak ho
ye pyaar kaa nahin PR kaa zamaana hai
garm mausam mein garm chaae bhi
bad-mizaajon kaa pyaar lagti hai