Shayari
phir mujhe khud bhi khabar ho na saki main huun kahaan
aakhiri baar tire gaanv mein dekhaa gayaa huun
mohabbat, hijr, nafrat mil chuki hai
main taqriban mukammal ho chukaa huun
محبت، ہجر، نفرت مل چکی ہے
میں تقریباً مکمل ہو چکا ہوں
मोहब्बत, हिज्र, नफ़रत मिल चुकी है
मैं तक़रीबन मुकम्मल हो चुका हूँ

phir mujhe khud bhi khabar ho na saki main huun kahaan
aakhiri baar tire gaanv mein dekhaa gayaa huun
ham ghulaami ko muqaddar ki tarah jaante hain
ham tiri jiit tiri maat se nikle hue hain
kuchh phulon ki khaatir bhi kuchh phulon kaa
sab se achchhaa rang churaanaa paDtaa hai
charaagh dafn kiye the 'nadim' qabron mein
zamin se chaand numudaar ho gae saahib
ye tiri guftugu kaa lamha hai
is ghaDi hai miraa khudaa mire paas
ungliyaan pher mere baalon mein
ye miraa dard-e-sar nahin jaataa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jaane kitne Dubne vaale saahil par bhi Duub gae
pyaare! tufaanon mein rah kar itnaa bhi ghabraanaa kyaa
haan ye mumkin hai magar itnaa zaruri bhi nahin
jo koi pyaar mein haaraa vahi fankaar huaa
main ne bas itnaa hi likhaa i-love-you aur phir
us ne aage kar diyaa thaa gaal internet par
khvaab dekhaa thaa mohabbat kaa mohabbat ki qasam
phir isi khvaab ki taabir mein masruf thaa main