Shayari
kitni viraani hai mere andar
kis qadar teri kami hai mujh mein
kitni khvaahishein dil mein palti hain magar 'naahid'
haath hi naiin aate bhaagte hue lamhe
کتنی خواہشیں دل میں پلتی ہیں مگر ناہیدؔ
ہاتھ ہی نئیں آتے بھاگتے ہوئے لمحے
कितनी ख़्वाहिशें दिल में पलती हैं मगर 'नाहीद'
हाथ ही नईं आते भागते हुए लम्हे

kitni viraani hai mere andar
kis qadar teri kami hai mujh mein
reza reza honaa bantaa hai miraa
tum mukammal mere dil par utre ho
zindagi is qadar buri bhi nahin
dekh main muskuraa rahi huun naa
aur phir dil ne us ko chhoD diyaa
jab ta'alluq bahaal thaa hi nahin
shokh havaaon ke aanchal mein tham tham kar
shaam se hi hain dard puraane yaad aae
shaam ki shaam se sargoshi suni thi ik baar
bas tabhi se tujhe imkaan mein rakkhaa huaa hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
jab bhi aql banaati hai pahlaa misraa
dil ko misra-e-saani honaa paDtaa hai
'azfari' ghuncha-e-dil band aur aai hai bahaar
sair-e-gul ko ki ye shaayad ba-takalluf khil le
mire rashk-e-be-nihaayat ko na puchh mere dil se
tujhe tujh se bhi chhupaataa agar ikhtiyaar hotaa
misl-e-majnun jo pareshaan hai bayaabaan mein aaj
kyuun dilaa kaun samaayaa hai tire dhyaan mein aaj