Shayari
havaa gum-sum khaDi hai raaste mein
musaafir soch mein Duubaa huaa hai
log phirte hain bhare shahr ki tanhaai mein
sard jismon ki salibon pe uThaa kar chehre
لوگ پھرتے ہیں بھرے شہر کی تنہائی میں
سرد جسموں کی صلیبوں پہ اٹھا کر چہرے
लोग फिरते हैं भरे शहर की तंहाई में
सर्द जिस्मों की सलीबों पे उठा कर चेहरे

havaa gum-sum khaDi hai raaste mein
musaafir soch mein Duubaa huaa hai
jab pukaaraa kisi musaafir ne
raaste khaaiyon mein chikh uThe
falsafe saare kitaabon mein ulajh kar rah gae
dars-gaahon mein nisaabon ki thakan baaqi rahi
khamoshi jhaankti hai khiDkiyon se
gali mein shor saa phailaa huaa hai
raat bhar khvaab dekhne vaale
din ki sachchaaiyon mein chikh uThe
mohabbat ke Thikaane DhunDhti hai
badan ki laa-makaani mausamon mein
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ek ik lamhe mein jab sadiyon ki sadiyaan kaT gaiin
aisi kuchh raatein bhi guzri hain miri tere baghair
ashk-e-gham-e-ulfat mein ik raaz-e-nihaani hai
pi jaao to amrit hai bah jaae to paani hai