Shayari
khuub gae pardes ki apne divaar-o-dar bhuul gae
shish-mahal ne aisaa gheraa miTTi ke ghar bhuul gae
taa umr phir na hogi ujaalon ki aarzu
tu bhi kisi charaag ki lau se lipaT ke dekh
تا عمر پھر نہ ہوگی اجالوں کی آرزو
تو بھی کسی چراغ کی لو سے لپٹ کے دیکھ
ता उम्र फिर न होगी उजालों की आरज़ू
तू भी किसी चराग़ की लौ से लिपट के देख

khuub gae pardes ki apne divaar-o-dar bhuul gae
shish-mahal ne aisaa gheraa miTTi ke ghar bhuul gae
is liye chal na sakaa koi bhi khanjar mujh par
meri shah-rag pe miri maan ki duaa rakkhi thi
main ne duniyaa chhoD di lekin miraa murda badan
ek uljhan ki tarah qaatil ki nazron mein rahaa
khaDaa huun aaj bhi roTi ke chaar harf liye
savaal ye hai kitaabon ne kyaa diyaa mujh ko
zakhm kitne tiri chaahat se mile hain mujh ko
sochtaa huun ki kahun tujh se magar jaane de
apni aankhon ke samundar mein utar jaane de
teraa mujrim huun mujhe Duub ke mar jaane de
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
tamaam umr bhaTakte rahe jo raahon mein
dikhaa rahe hain vahi aaj raastaa mujh ko
ye zindagi jise apnaa samajh rahe hain sab
hai mustaaar faqat raunaq-e-jahaan ke liye
kabhi kabhi to mohabbat ki zindagi ke liye
khud un ko ham ne ubhaaraa hai barhami ke liye