Shayari
yuun main sidhaa gayaa vahshat mein bayaabaan ki taraf
haath jis tarah se aataa hai garebaan ki taraf
banaayaa toD ke aaina aaina-khaana
na dekhi raah jo khalvat se anjuman ki taraf
بنایا توڑ کے آئینہ آئینہ خانہ
نہ دیکھی راہ جو خلوت سے انجمن کی طرف
बनाया तोड़ के आईना आईना-ख़ाना
न देखी राह जो ख़ल्वत से अंजुमन की तरफ़

yuun main sidhaa gayaa vahshat mein bayaabaan ki taraf
haath jis tarah se aataa hai garebaan ki taraf
dard-e-dil se ishq ke be-pardagi hoti nahin
ik chamak uThti hai lekin raushni hoti nahin
bichhaD ke tujh se mujhe hai umiid milne ki
sunaa hai ruuh ko aanaa hai phir badan ki taraf
dil is tarah havaa-e-mohabbat mein jal gayaa
bhaDki kahin na aag na uTThaa dhuaan kahin
nashshe mein sujhti hai mujhe duur duur ki
naddi vo saamne hai sharaab-e-tuhur ki
asiri mein bahaar aai hai fariyaad-o-fughaan kar lein
nafas ko khun-fishaan kar lein qafas ko bostaan kar lein
jo dil ne kahi lab pe kahaan aai hai dekho
ab mahfil yaaraan mein bhi tanhaai hai dekho
tum mire saath ho ye sach to nahin hai lekin
main agar jhuuT na bolun to akelaa ho jaaun
main nibal tanhaa na is duniyaa ki sohbat siin huaa
rustamon kuun kar diyaa hai naa-tavaan inzaal niin
tum se mile to khud se ziyaada
tum ko akelaa paayaa ham ne
main takiye par sitaare bo rahaa huun
janam-din hai akelaa ro rahaa huun
duur tak ek khalaa hai so khalaa ke andar
sirf tanhaai ki surat hi nazar aaegi