Shayari
ragaDnaa paD rahaa hai sar har ik voter ke paanv par
isi baais to ham ko membari achchhi nahin lagti
qatar se na laate agar maal-o-daulat
mohalle mein izzat tumhaari na hoti
قطر سے نہ لاتے اگر مال و دولت
محلے میں عزت تمہاری نہ ہوتی
क़तर से न लाते अगर माल-ओ-दौलत
मोहल्ले में इज़्ज़त तुम्हारी न होती

ragaDnaa paD rahaa hai sar har ik voter ke paanv par
isi baais to ham ko membari achchhi nahin lagti
daulat ki rel-pel hai ab ghar mein is liye
custam kaa ik clerk huun teacher nahin huun main
nae yaaron se bhi is shakhs ki saahib-salaamat hai
hamaare saath bhi yaari jo pahle thi so ab bhi hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
main jis mein rah na sakaa ji-huzuriyon ke sabab
ye aadmi hai usi kaamyaab mausam kaa