Shayari
ye ishq hi thaa jis se mili shohratein tumhein
varna tumhaaraa shahr tumhein jaantaa na thaa
vo chaahte hain ki manzil kaa zikr to aae
magar kahaani se rasta haTaa liyaa jaae
وہ چاہتے ہیں کہ منزل کا ذکر تو آئے
مگر کہانی سے رستہ ہٹا لیا جائے
वो चाहते हैं कि मंज़िल का ज़िक्र तो आए
मगर कहानी से रस्ता हटा लिया जाए

ye ishq hi thaa jis se mili shohratein tumhein
varna tumhaaraa shahr tumhein jaantaa na thaa
sivaa us ke na koi aur meraa dost ban paae
vo is Dar se zamaana mein mujhe badnaam kartaa hai
chhaate matlab kho dete hain
kyon itni baarish hoti hai
dhuup jhumke pe jab paDi us ke
Dar ke suraj ne pher li aankhein
chuDiyaan kyuun utaar diin tum ne
subhein kitni udaas rahti hain
khulte khulte mujh pe khulaa ye
main bhi duniyaa ke jaisaa huun
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
kin manzilon luTe hain mohabbat ke qaafile
insaan zamin pe aaj gharib-ul-vatan saa hai
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost