Shayari
is baar intizaam to sardi kaa ho gayaa
kyaa haal peD kaTte hi basti kaa ho gayaa
gham is qadar nahin the Dhale jitne sher mein
daulat banaai khuub mataa-e-qalil se
غم اس قدر نہیں تھے ڈھلے جتنے شعر میں
دولت بنائی خوب متاع قلیل سے
ग़म इस क़दर नहीं थे ढले जितने शेर में
दौलत बनाई ख़ूब मता-ए-क़लील से

is baar intizaam to sardi kaa ho gayaa
kyaa haal peD kaTte hi basti kaa ho gayaa
vo saanp jis ne mujhe aaj tak Dasaa bhi nahin
tamaam zahr sukhan mein mire usi kaa hai
phir is mazaaq ko jamhuriyat kaa naam diyaa
hamein Daraane lage vo hamaari taaqat se
apni aahaT pe chaunktaa huun main
kis ki duniyaa mein aa gayaa huun main
vo tanz ko bhi husn-e-talab jaan khush hue
ulTaa paDhaa gayaa, miraa paighaam aur thaa
bas tire aane ki ik afvaah kaa aisaa asar
kaise kaise log the bimaar achchhe ho gae
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
nazar bachaa ke jo aansu kiye the main ne paak
khabar na thi yahi dhabbe baneinge daaman ke
vo dard huun koi chaara nahin hai jis kaa kahin
vo zakhm huun ki hai dushvaar indimaal miraa
ye zindagi hai apni kabhi khush kabhi udaas
is kashmakash se mujh ko khudaayaa rihaai de