Shayari
main pahle be-baak huaa thaa josh-e-mohabbat mein
meri tarah phir us ne bhi sharmaanaa chhoDaa thaa
main bas ye kah rahaa huun rasm-e-vafaa jahaan mein
bilkul nahin miTi hai kamyaab ho gai hai
میں بس یہ کہہ رہا ہوں رسم وفا جہاں میں
بالکل نہیں مٹی ہے کمیاب ہو گئی ہے
मैं बस ये कह रहा हूँ रस्म-ए-वफ़ा जहाँ में
बिल्कुल नहीं मिटी है कमयाब हो गई है

tufaan ke baa'd main bhi bahut TuuT saa gayaa
dariyaa phir apne rukh pe bahaa le gayaa mujhe
kyuun logon se mehr-o-vafaa ki aas lagaae baiThe ho
jhuuT ke is makruh nagar mein logon kaa kirdaar kahaan
chaaron taraf bikhar gaiin saanson ki khushbuein
raah-e-vafaa mein aap jahaan bhi jidhar gae
dil se niklegi na mar kar bhi vatan ki ulfat
meri miTTi se bhi khushbu-e-vafaa aaegi
baandh ke ahd-e-vafaa log chale jaate hain
chhoD jaate hain faqat jism ki uljhi gaanThein
Dubne vaale mauj-e-tufaan se
jaane kyaa baat karte jaate hain