Shayari
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
maqtal-e-vaqt mein khaamosh gavaahi ki tarah
dil bhi kaam aayaa hai gumnaam sipaahi ki tarah
مقتل وقت میں خاموش گواہی کی طرح
دل بھی کام آیا ہے گمنام سپاہی کی طرح
maqtal-e-vaqt meñ ḳhāmosh gavāhī kī tarah
dil bhī kaam aayā hai gumnām sipāhī kī tarah

vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
main sach kahungi magar phir bhi haar jaaungi
vo jhuuT bolegaa aur laa-javaab kar degaa
vo kahin bhi gayaa lauTaa to mire paas aayaa
bas yahi baat hai achchhi mire harjaai ki
laDkiyon ke dukh ajab hote hain sukh us se ajiib
hans rahi hain aur kaajal bhigtaa hai saath saath
tujhe manaaun ki apni anaa ki baat sunun
ulajh rahaa hai mire faislon kaa resham phir
ab to is raah se vo shakhs guzartaa bhi nahin
ab kis ummid pe darvaaze se jhaanke koi
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ik aabla thaa so bhi gayaa khaar-e-gham se phaT
teri girah mein kyaa dil-e-andoh-gin rahaa