Shayari
nargisi chashm dikhaa kar ke vo vahshat-zada yaar
ye gayaa vo gayaa jis tarah ghazaal aap se aap
shaikh mujh ko na Daraa apni musalmaani thaam
ham faqiron kaa kisi rang se imaan na jaae
شیخ مجھ کو نہ ڈرا اپنی مسلمانی تھام
ہم فقیروں کا کسی رنگ سے ایمان نہ جائے
शैख़ मुझ को न डरा अपनी मुसलमानी थाम
हम फ़क़ीरों का किसी रंग से ईमान न जाए

nargisi chashm dikhaa kar ke vo vahshat-zada yaar
ye gayaa vo gayaa jis tarah ghazaal aap se aap
bas nahin chaltaa hai varna apne mar jaane ke saath
pheink dete khod kar duniyaa ki sab buniyaad ham
lab-e-shirin se agar ho na teraa lab shirin
kohkan tu bhi to ab daaman-e-kohsaar na chhoD
yaar kaa kucha hai masjud-e-khalaaiq dekh le
sang hai kaabe mein murat dair mein hai mushtarak
mujhe khushi ki giraftaar main huaa teraa
to shaad ho ki hai aisaa shikaar asiir miraa
khudaa ko sajda kar ke mubtazil zaahid huaa ab to
to jaa kar mah-jabin ke aastaan pe jubba-saai kar
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge