Shayari
log ro ro ke bhi is duniyaa mein ji lete hain
ek ham hain ki hanse bhi to guzaaraa na huaa
hamein vaasta taDap se hamein kaam aansuon se
tujhe yaad kar ke roe yaa tujhe bhulaa ke roe
ہمیں واسطہ تڑپ سے ہمیں کام آنسوؤں سے
تجھے یاد کر کے روئے یا تجھے بھلا کے روئے
हमें वास्ता तड़प से हमें काम आँसुओं से
तुझे याद कर के रोए या तुझे भुला के रोए

log ro ro ke bhi is duniyaa mein ji lete hain
ek ham hain ki hanse bhi to guzaaraa na huaa
ik mohabbat ke sivaa aur na kuchh maangaa thaa
kyaa karein ye bhi zamaane ko gavaaraa na huaa
na jhaTko zulf se paani ye moti TuuT jaaeinge
tumhaaraa kuchh na bigDegaa magar dil TuuT jaaeinge
na chaaraagar ki zarurat na kuchh davaa ki hai
duaa ko haath uThaao ki gham ki raat kaTe
is bhari duniyaa mein koi bhi hamaaraa na huaa
ghair to ghair hain apnon kaa sahaaraa na huaa
ye naazuk lab hain yaa aapas mein do lipTi hui kaliyaan
zaraa in ko alag kar do tarannum phuuT jaaeinge
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kuchh ehtiraam bhi kar gham ki vaza-daari kaa
giraan hai arz-e-tamannaa to baar baar na kar
tum bhi aakhir ho mard kyaa jaano
ek aurat kaa dard kyaa jaano
aadmi huun vasf-e-paighambar na maang
mujh se mere dost meraa sar na maang