Shayari
dikhaa kar zahr ki shishi kahaa 'ranjur' se us ne
ajab kyaa teri bimaari ki ye hakmi davaa nikle
ilm haasil kar ke bhi milti nahin hai naukri
rahm ke qaabil hai bas haalat hamaari in dinon
علم حاصل کر کے بھی ملتی نہیں ہے نوکری
رحم کے قابل ہے بس حالت ہماری ان دنوں
इल्म हासिल कर के भी मिलती नहीं है नौकरी
रहम के क़ाबिल है बस हालत हमारी इन दिनों

dikhaa kar zahr ki shishi kahaa 'ranjur' se us ne
ajab kyaa teri bimaari ki ye hakmi davaa nikle
agar chilman ke baahar vo but-e-kaafir-adaa nikle
zabaan-e-shaikh se salle-alaa salle-alaa nikle
huiin aazaad qaid-e-shara se taalim ke sadqe
pakaD kar dast-e-naa-mahram na kyuun utrein vo TamTam se
gharaz ki vaqton mein ham ne aksar lagaai hai muslimon se yaari
magar gharaz jab rahi na baaqi to un se naahaq ulajh paDe hain
mujh ko kaafi hai bas ik teraa muaafiq honaa
saari duniyaa bhi mukhaalif ho to kyaa hotaa hai
buton mein kis balaa ki hai kashish allaah hi jaane
chale the shauq-e-kaaba mein sanam-khaane mein jaa nikle
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
savaal karti kai aankhein muntazir hain yahaan
javaab aaj bhi ham soch kar nahin aae
faasle aise bhi honge ye kabhi sochaa na thaa
saamne baiThaa thaa mere aur vo meraa na thaa
main ne ye soch ke boe nahin khvaabon ke darakht
kaun jangal mein uge peD ko paani degaa
ye pahlaa ishq hai tumhaaraa soch lo
mire liye ye raastaa nayaa nahin