Shayari
dil ko jalaae rakkhaa hai ham ne charaagh saa
is ghar mein ham hain aur tiraa intizaar hai
tamaam raat tiraa intizaar hotaa rahaa
ye ek kaam yahi kaarobaar hotaa rahaa
تمام رات ترا انتظار ہوتا رہا
یہ ایک کام یہی کاروبار ہوتا رہا
तमाम रात तिरा इंतिज़ार होता रहा
ये एक काम यही कारोबार होता रहा

dil ko jalaae rakkhaa hai ham ne charaagh saa
is ghar mein ham hain aur tiraa intizaar hai
tum na the to yahaan pe koi na thaa
aaj kitne divaane baiThe hain
qalb-o-jigar ke daagh farozaan kiye hue
hain ham bhi ehtimaam-e-bahaaraan kiye hue
us kaa jalva dikhaai detaa hai
saare chehron pe sab kitaabon mein
nashsha-e-yaar kaa nasha mat puchh
aisi masti kahaan sharaabon mein
tumhaare shahr mein kyuun aaj hu kaa aalam hai
sabaa idhar se guzar kar udhar gai ki nahin
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
haan dil-e-be-taab chande intizaar
amn-o-raahat kaa Thikaana aur hai
ab kaun muntazir hai hamaare liye vahaan
shaam aa gai hai lauT ke ghar jaaein ham to kyaa
ek patthar ki dast-e-yaar mein hai
phuul banne ke intizaar mein hai
maut kaa intizaar baaqi hai
aap kaa intizaar thaa na rahaa