Shayari
mai-khaane mein mazaar hamaaraa agar banaa
duniyaa yahi kahegi ki jannat mein ghar banaa
aalam-e-hu mein kuchh aavaaz si aa jaati hai
chupke chupke koi kahtaa hai fasaana dil kaa
عالم ہو میں کچھ آواز سی آ جاتی ہے
چپکے چپکے کوئی کہتا ہے فسانہ دل کا
ālam-e-hū meñ kuchh āvāz sī aa jaatī hai
chupke chupke koī kahtā hai fasāna dil kā

mai-khaane mein mazaar hamaaraa agar banaa
duniyaa yahi kahegi ki jannat mein ghar banaa
aap aae to khayaal-e-dil-e-naashaad aayaa
aap ne yaad dilaayaa to mujhe yaad aayaa
ghurur bhi jo karun main to aajizi ho jaae
khudi mein lutf vo aae ki be-khudi ho jaae
ham jaante hain lutf-e-taqaazaa-e-mai-farosh
vo naqd mein kahaan jo mazaa hai udhaar mein
baDe paak tinat baDe saaf baatin
'riyaaz' aap ko kuchh hamin jaante hain
aisi hi intizaar mein lazzat agar na ho
to do ghaDi firaaq mein apni basar na ho
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
agar apne dil-e-betaab ko samjhaa liyaa main ne
to ye kaafir nigaahein kar sakeingi intizaam apnaa
dil bhi toDaa to saliqe se na toDaa tum ne
bevafaai ke bhi aadaab huaa karte hain
band kamre mein zehn kyaa badle
ghar se niklo to kuchh fazaa badle
dil ke phaphule jal uThe siine ke daagh se
is ghar ko aag lag gai ghar ke charaagh se