Shayari
ye san kar meri nindein uD gai hain
koi meraa bhi sapnaa dekhtaa hai
dil bhi toDaa to saliqe se na toDaa tum ne
bevafaai ke bhi aadaab huaa karte hain
دل بھی توڑا تو سلیقے سے نہ توڑا تم نے
بے وفائی کے بھی آداب ہوا کرتے ہیں
दिल भी तोड़ा तो सलीक़े से न तोड़ा तुम ने
बेवफ़ाई के भी आदाब हुआ करते हैं

ye san kar meri nindein uD gai hain
koi meraa bhi sapnaa dekhtaa hai
aansuon ke jahaan mein rahte hain
ham isi kahkashaan mein rahte hain
zehn aise bhi na ban jaaein nisaabon vaale
guftugu mein bhi huun alfaaz kitaabon vaale
ik safar phir mari taqdir huaa jaataa hai
raasta paanv ki zanjir huaa jaataa hai
naaqido tum to mire fan ki parakh rahne do
apne sone ko main pital nahin hone dungaa
bane hain kitne chehre chaand suraj
ghazal ke istiaaraati ufuq par
vo mujhe pyaar se dekhe bhi to phir kyaa hogaa
mujh mein itni bhi sakat kab hai ki dhokaa khaaun
dhokaa na khaao chaaraagaro vaaqiaat se
pahlu mein dil nahin hai to kyaa dard bhi nahin
tu aur chashm-e-lutf nai vaardaat hai
meri nigaah ne mujhe dhokaa diyaa na ho
ham ne aalam se bevafaai ki
ek maashuq-e-bevafaa ke liye
ye bhi fareb se hain kuchh dard aashiqi ke
ham mar ke kyaa kareinge kyaa kar liyaa hai ji ke
aashiqi mein bahut zaruri hai
bevafaai kabhi kabhi karnaa