Shayari
apni sochein safar mein rahti hain
us ko paane ki justuju dekho
tu ruke yaa na ruke faisla tujh par chhoDaa
dil ne dar khol diye hain tiri aasaani ko
تو رکے یا نہ رکے فیصلہ تجھ پر چھوڑا
دل نے در کھول دیے ہیں تری آسانی کو
तू रुके या न रुके फ़ैसला तुझ पर छोड़ा
दिल ने दर खोल दिए हैं तिरी आसानी को

apni sochein safar mein rahti hain
us ko paane ki justuju dekho
mujh saa koi jahaan mein naadaan bhi na ho
kar ke jo ishq kahtaa hai nuqsaan bhi na ho
tum ne kaisaa ye raabta rakkhaa
na mile ho na faasla rakkhaa
tu na rusvaa ho is liye ham ne
apni chaahat pe daaera rakkhaa
aise lagtaa hai ki kamzor bahut hai tu bhi
jiit kar jashn manaane ki zarurat kyaa thi
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein