Shayari
ravaan hai qaafila-e-ruh-e-iltifaat abhi
hamaari raah se haT jaae kaaenaat abhi
aap ke lab pe aur vafaa ki qasam
kyaa qasam khaai hai khudaa ki qasam
آپ کے لب پہ اور وفا کی قسم
کیا قسم کھائی ہے خدا کی قسم
आप के लब पे और वफ़ा की क़सम
क्या क़सम खाई है ख़ुदा की क़सम

ravaan hai qaafila-e-ruh-e-iltifaat abhi
hamaari raah se haT jaae kaaenaat abhi
kaun uThaae ishq ke anjaam ki jaanib nazar
kuchh asar baaqi hain ab tak hairat-e-aaghaaz ke
musaafiraan-e-rah-e-shauq sust-e-gaam ho kyuun
qadam baDhaae hue haan qadam baDhaae hue
apne jalne mein kisi ko nahin karte hain sharik
raat ho jaae to ham shama bujhaa dete hain
samjhegaa aadmi ko vahaan kaun aadmi
banda jahaan khudaa ko khudaa maantaa nahin
gham-e-dauraan ko baDi chiiz samajh rakkhaa thaa
kaam jab tak na paDaa thaa gham-e-jaanaan se hamein
be-muravvat ho bevafaa ho tum
apne matlab ke aashnaa ho tum
umr bhar yaad rahaa apni vafaaon ki tarah
ek vo ahd jise aap ne puuraa na kiyaa
abhi tufaan kaa rukh garche mire pahlu ki jaanib hai
tiri aaghosh mein barpaa koi mahshar bhi dekhungaa
chupke se sah rahaa huun sitam tere bevafaa
meri khataa to jab ho ki chuun kar rahaa huun main
sahaaraa na deti agar mauj-e-tufaan
Dubo hi diyaa thaa hamein naa-khudaa ne
saans rukti hai chhalakte hue paimaane mein
koi letaa thaa tiraa naam-e-vafaa aakhir-e-shab