Shayari
ravaan hai qaafila-e-ruh-e-iltifaat abhi
hamaari raah se haT jaae kaaenaat abhi
kaun uThaae ishq ke anjaam ki jaanib nazar
kuchh asar baaqi hain ab tak hairat-e-aaghaaz ke
کون اٹھائے عشق کے انجام کی جانب نظر
کچھ اثر باقی ہیں اب تک حیرت آغاز کے
कौन उठाए इश्क़ के अंजाम की जानिब नज़र
कुछ असर बाक़ी हैं अब तक हैरत-ए-आग़ाज़ के

ravaan hai qaafila-e-ruh-e-iltifaat abhi
hamaari raah se haT jaae kaaenaat abhi
musaafiraan-e-rah-e-shauq sust-e-gaam ho kyuun
qadam baDhaae hue haan qadam baDhaae hue
aap ke lab pe aur vafaa ki qasam
kyaa qasam khaai hai khudaa ki qasam
apne jalne mein kisi ko nahin karte hain sharik
raat ho jaae to ham shama bujhaa dete hain
samjhegaa aadmi ko vahaan kaun aadmi
banda jahaan khudaa ko khudaa maantaa nahin
gham-e-dauraan ko baDi chiiz samajh rakkhaa thaa
kaam jab tak na paDaa thaa gham-e-jaanaan se hamein
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
fazaaon mein mohabbat gholtaa huun
main hindi huun main urdu boltaa huun