Shayari
chashm-e-giryaan ki aabyaari se
dil ke daaghon pe phir bahaar aai
chupke se sah rahaa huun sitam tere bevafaa
meri khataa to jab ho ki chuun kar rahaa huun main
چپکے سے سہہ رہا ہوں ستم تیرے بے وفا
میری خطا تو جب ہو کہ چوں کر رہا ہوں میں
चुपके से सह रहा हूँ सितम तेरे बेवफ़ा
मेरी ख़ता तो जब हो कि चूँ कर रहा हूँ मैं

chashm-e-giryaan ki aabyaari se
dil ke daaghon pe phir bahaar aai
mohabbat zulf kaa aaseb jaadu hai nigaahon kaa
mohabbat fitna-e-mahshar balaa-e-naa-gahaani hai
'khaar' ulfat ki baat jaane do
zindagi kis ko saazgaar aai
sach to ye hai ki duaa ne na davaa ne rakkhaa
ham ko zinda tire daaman ki havaa ne rakkhaa
main ne maanaa ki adu bhi tiraa shaidaai hai
farq hotaa hai fidaa hone mein mar jaane mein
uTThe na baiTh kar kabhi ku-e-habib se
us dar pe kyaa gae ki usi dar ke ho gae
ek parda saa hai fareb-e-nazar
ye bhi uTThe to dekhnaa kyaa hai
mere baa'd vafaa kaa dhokaa aur kisi se mat karnaa
gaali degi duniyaa tujh ko sar meraa jhuk jaaegaa
is qadar musalsal thiin shiddatein judaai ki
aaj pahli baar us se main ne bevafaai ki
kuchh to majburiyaan rahi hongi
yuun koi bevafaa nahin hotaa
yaar main itnaa bhukaa huun
dhokaa bhi khaa letaa huun
tum aur fareb khaao bayaan-e-raqib se
tum se to kam gila hai ziyaada nasib se