Shayari
kaun uThaae ishq ke anjaam ki jaanib nazar
kuchh asar baaqi hain ab tak hairat-e-aaghaaz ke
gham-e-dauraan ko baDi chiiz samajh rakkhaa thaa
kaam jab tak na paDaa thaa gham-e-jaanaan se hamein
غم دوراں کو بڑی چیز سمجھ رکھا تھا
کام جب تک نہ پڑا تھا غم جاناں سے ہمیں
ग़म-ए-दौराँ को बड़ी चीज़ समझ रक्खा था
काम जब तक न पड़ा था ग़म-ए-जानाँ से हमें

kaun uThaae ishq ke anjaam ki jaanib nazar
kuchh asar baaqi hain ab tak hairat-e-aaghaaz ke
musaafiraan-e-rah-e-shauq sust-e-gaam ho kyuun
qadam baDhaae hue haan qadam baDhaae hue
aap ke lab pe aur vafaa ki qasam
kyaa qasam khaai hai khudaa ki qasam
apne jalne mein kisi ko nahin karte hain sharik
raat ho jaae to ham shama bujhaa dete hain
samjhegaa aadmi ko vahaan kaun aadmi
banda jahaan khudaa ko khudaa maantaa nahin
ravaan hai qaafila-e-ruh-e-iltifaat abhi
hamaari raah se haT jaae kaaenaat abhi
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tu dekh lenaa hamaare bachchon ke baal jaldi safed honge
hamaari chhoDi hui udaasi se saat naslein udaas hongi
aisi tasvir banaa rote hue khush bhi lagun
gham ki tarsil to ho gham kaa tamaasha na bane
sach hai in donon kaa hai ik aalam
meri tanhaai teri yaktaai