Shayari
janaaza rok kar meraa vo is andaaz se bole
gali ham ne kahi thi tum to duniyaa chhoDe jaate ho
khatm ho jaate jo husn o ishq ke naaz o adaa
shaaeri bhi khatm ho jaati nubuvvat ki tarah
ختم ہو جاتے جو حسن و عشق کے ناز و ادا
شاعری بھی ختم ہو جاتی نبوت کی طرح
ख़त्म हो जाते जो हुस्न ओ इश्क़ के नाज़ ओ अदा
शायरी भी ख़त्म हो जाती नबुव्वत की तरह

janaaza rok kar meraa vo is andaaz se bole
gali ham ne kahi thi tum to duniyaa chhoDe jaate ho
ghazal us ne chheDi mujhe saaz denaa
zaraa umr-e-rafta ko aavaaz denaa
banaavaT ho to aisi ho ki jis se saadgi Tapke
ziyaada ho to asli husn chhup jaataa hai zevar se
miri naash ke sirhaane vo khaDe ye kah rahe hain
ise niind yuun na aati agar intizaar hotaa
dekhe baghair haal ye hai iztiraab kaa
kyaa jaane kyaa ho parda jo uTThe naqaab kaa
paighaam zindagi ne diyaa maut kaa mujhe
marne ke intizaar mein jiinaa paDaa mujhe
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
karnaa hi paDegaa zabt-e-alam piine hi paDeinge ye aansu
fariyaad-o-fughaan se ai naadaan tauhin-e-mohabbat hoti hai
ishq aataa na agar raah-numaai ke liye
aap bhi vaaqif-e-manzil nahin hone paate
kab tak yaqin ishq hamein khud na aaegaa
kab tak makaan kaa haal kaheinge makin se ham