Shayari
ravaan hai qaafila-e-ruh-e-iltifaat abhi
hamaari raah se haT jaae kaaenaat abhi
ishq aataa na agar raah-numaai ke liye
aap bhi vaaqif-e-manzil nahin hone paate
عشق آتا نہ اگر راہ نمائی کے لئے
آپ بھی واقف منزل نہیں ہونے پاتے
इश्क़ आता न अगर राह-नुमाई के लिए
आप भी वाक़िफ़-ए-मंज़िल नहीं होने पाते

ravaan hai qaafila-e-ruh-e-iltifaat abhi
hamaari raah se haT jaae kaaenaat abhi
kaun uThaae ishq ke anjaam ki jaanib nazar
kuchh asar baaqi hain ab tak hairat-e-aaghaaz ke
musaafiraan-e-rah-e-shauq sust-e-gaam ho kyuun
qadam baDhaae hue haan qadam baDhaae hue
aap ke lab pe aur vafaa ki qasam
kyaa qasam khaai hai khudaa ki qasam
apne jalne mein kisi ko nahin karte hain sharik
raat ho jaae to ham shama bujhaa dete hain
gham-e-dauraan ko baDi chiiz samajh rakkhaa thaa
kaam jab tak na paDaa thaa gham-e-jaanaan se hamein
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq ki aag ai maaaz-allaah
na kabhi dab saki dabaane se