Shayari
shaayad vo sang-dil ho kabhi maail-e-karam
surat na de yaqin ki is ehtimaal ko
dil ke ujDe nagar ko kar aabaad
is Dagar ko bhi koi raahi de
دل کے اجڑے نگر کو کر آباد
اس ڈگر کو بھی کوئی راہی دے
दिल के उजड़े नगर को कर आबाद
इस डगर को भी कोई राही दे

shaayad vo sang-dil ho kabhi maail-e-karam
surat na de yaqin ki is ehtimaal ko
'sahbaa' saahab dariyaa ho to dariyaa jaisi baat karo
tez havaa se lahar to ik jauhaD mein bhi aa jaati hai
main use samjhun na samjhun dil ko hotaa hai zarur
laala o gul par gumaan ik ajnabi tahrir kaa
tum ne kahaa thaa chup rahnaa so chup ne bhi kyaa kaam kiyaa
chup rahne ki aadat ne kuchh aur hamein badnaam kiyaa
agar shuur na ho to bahisht hai duniyaa
baDe azaab mein guzri hai aagahi ke saath
miri tanhaaiyon ko kaun samjhe
main saaya huun magar khud se judaa huun
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
vaa'da amir-e-shahr kaa dariyaa-dili kaa thaa
dekh un kaa faiz shahr ko dariyaa banaa diyaa
aql kahti hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaaiye
hijr ki shab naala-e-dil vo sadaa dene lage
sunne vaale raat kaTne ki duaa dene lage