Shayari
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
hamein khabar hai vo mehmaan ek raat kaa hai
hamaare paas bhi saamaan ek raat kaa hai
ہمیں خبر ہے وہ مہمان ایک رات کا ہے
ہمارے پاس بھی سامان ایک رات کا ہے
हमें ख़बर है वो मेहमान एक रात का है
हमारे पास भी सामान एक रात का है

shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
zindagi kis tarah kaTegi 'saif'
raat kaTti nazar nahin aati
ye aalaam-e-hasti ye daur-e-zamaana
to kyaa ab tumhein bhuul jaanaa paDegaa
kitne anjaan hain kyaa saadgi se puchhte hain
kahiye kyaa meri kisi baat pe ronaa aayaa
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
khairaat mein de aayaa huun jiiti hui baazi
duniyaa ye samajhti hai ki main haar gayaa huun
meri nigaah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar
phir bhi tiraa shabaab tiraa hi shabaab hai
raat ke lamhaat khuni daastaan likhte rahe
subh ke akhbaar mein haalaat behtar ho gae
charaag chaand shafaq shaam phuul jhiil sabaa
churaain sab ne hi kuchh kuchh shabaahatein teri