Shayari
khiDki se jhaank kar kisi ne
manzar ko vaaqia banaayaa
gale lag kar ham us k khuub roe
khushi ik din mili thi raah chalte
گلے لگ کر ہم اس کے خوب روئے
خوشی اک دن ملی تھی راہ چلتے
गले लग कर हम उस के ख़ूब रोए
ख़ुशी इक दिन मिली थी राह चलते

khiDki se jhaank kar kisi ne
manzar ko vaaqia banaayaa
kunein ki samt bulaa le na koi khvaab mujhe
main apne baap kaa sab se hasin beTaa huun
sab ko qudrat thi khush-kalaami par
khaamushi mein zabaan-daraaz thaa main
aansu nahin banaa so ham ne
ujlat mein qahqaha banaayaa
main tire daaein baaein rahtaa huun
ai mire saamne ki majburi
zinda ikaTThe ho rahe hain
lagtaa hai koi mar gayaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
nahin nahin main bahut khush rahaa huun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
rang ho raushni ho yaa khushbu
sab mein partav usi hasin ke hain
jaane kyaa kah rahaa thaa vo mujh se
main ne bhi kah diyaa ki khush huun main
vo ik lamha jo tere qurb ki khushbu se hai raushan
ab is lamhe ko paaband-e-salaasil chaahtaa huun main
na puchh us ki dil-afsurdagi ki kaifiyyat
jo gham-nasib khushi mein bhi muskuraa na sakaa