Shayari
kyaa jaane shaakh-e-vaqt se kis vaqt gir paDun
maanind-e-barg-e-zard abhi Doltaa huun main
I
Imranrang ho raushni ho yaa khushbu
sab mein partav usi hasin ke hain
رنگ ہو روشنی ہو یا خوشبو
سب میں پرتو اسی حسیں کے ہیں
रंग हो रौशनी हो या ख़ुशबू
सब में परतव उसी हसीं के हैं
kyaa jaane shaakh-e-vaqt se kis vaqt gir paDun
maanind-e-barg-e-zard abhi Doltaa huun main
apne lahu mein zahr bhi khud gholtaa huun main
soz-e-darun kisi pe nahin kholtaa huun main
haar hi jiit hai aain-e-vafaa ki ru se
ye vo baazi hai jahaan jiit ke haare saare
vaqt har zakhm ko bhar detaa hai kuchh bhi kiije
yaad rah jaati hai halki si chubhan ki had tak
khvaab, ummid, tamannaaein, taalluq, rishte
jaan le lete hain aakhir ye sahaare saare
ajiib khauf kaa mausam hai in dinon 'imrran'
sugandh le ke havaa duur tak nahin jaati
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
ek din vo zarron ko aaftaab kar leinge
dhuup ke jo khvaahaan hain raat ke andhere mein
ik bosa maangtaa huun main khairaat-e-husn ki
do maal ki zakaat ki daulat ziyaada ho
vo ik lamha jo tere qurb ki khushbu se hai raushan
ab is lamhe ko paaband-e-salaasil chaahtaa huun main