Shayari
tire hi naam ki simran hai mujh ko aur tasbih
tu hi hai vird har ik subh-o-shaam aashiq kaa
juun mauj haath maariye kyaa bahr-e-ishq mein
saahil 'nasir' duur hai aur dam nahin rahaa
جوں موج ہاتھ ماریے کیا بحر عشق میں
ساحل نصیرؔ دور ہے اور دم نہیں رہا
जूँ मौज हाथ मारिए क्या बहर-ए-इश्क़ में
साहिल 'नसीर' दूर है और दम नहीं रहा

tire hi naam ki simran hai mujh ko aur tasbih
tu hi hai vird har ik subh-o-shaam aashiq kaa
gale mein tu ne vahaan motiyon kaa pahnaa haar
yahaan pe ashk-e-musalsal gale kaa haar rahaa
aataa hai to aa vaada-faraamosh vagarna
har roz kaa ye lait-o-laal jaae to achchhaa
mere naale ke na kyuun ho charkh-e-akhzar zer-e-paa
khutba khvaan-e-ishq hai rakhtaa hai mimbar zer-e-paa
mushkil hai rok aah-e-dil-e-daaghdaar ki
kahte hain sau sunaar ki aur ik luhaar ki
puchhne vaalon ko kyaa kahiye ki dhoke mein nahin
kufr o islaam haqiqat mein hain yaksaan ham ko
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
shama-ruon ki mohabbat kaa jo dam bharte hain
ek muddat vo abhi baiat-e-parvaana karein
hai shaikh-o-barahman ke diin ki had dair-o-kaaba tak
savaad-e-din-e-ishq-e-be-gharaz kaun-o-makaan tak hai
yuun kinaare se mohabbat na kiyaa kar ham se
is se behtar hai mohabbat se kinaaraa kar le