Shayari
'zauq' jo madrase ke bigDe hue hain mullaa
un ko mai-khaane mein le aao sanvar jaaeinge
phir mujhe le chalaa udhar dekho
dil-e-khaana-kharaab ki baatein
پھر مجھے لے چلا ادھر دیکھو
دل خانہ خراب کی باتیں
फिर मुझे ले चला उधर देखो
दिल-ए-ख़ाना-ख़राब की बातें

'zauq' jo madrase ke bigDe hue hain mullaa
un ko mai-khaane mein le aao sanvar jaaeinge
ek aansu ne Duboyaa mujh ko un ki bazm mein
buund bhar paani se saari aabru paani hui
maalum jo hotaa hamein anjaam-e-mohabbat
lete na kabhi bhuul ke ham naam-e-mohabaat
behtar to hai yahi ki na duniyaa se dil lage
par kyaa karein jo kaam na be-dil-lagi chale
naaz hai gul ko nazaakat pe chaman mein ai 'zauq'
us ne dekhe hi nahin naaz-o-nazaakat vaale
in dinon garche dakan mein hai baDi qadr-e-sukhan
kaun jaae 'zauq' par dilli ki galiyaan chhoD kar
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
naujavaani mein paarsaa honaa
kaisaa kaar-e-zabun hai pyaare
zindagi kis tarah basar hogi
dil nahin lag rahaa mohabbat mein